The collection of Shayari in Urdu, love shayari, ishq shayari, urdu Ghazal and Muhabat Shayari will give you a romantic idea to say your feelings to you lovers. In this Love Poetry Ghazal collection we are sharing Wasi Shah, Mohsin Naqvi, Abbas Dana and Haider Ali Aatish latest udru love poetry. Read and comment if you like thie poetry.
Wasi Shah Urdu Poetry:
Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hai
Keh ashq rokna tum say muhaal hona hai
Her aik lab pay hai meri wafa ke afsanay
Teray sitam ko abhi la-zawal hona hai
Baja kay khaar hain lekin bahaar ki rut main
Yah tay hai ab kay humain bhi nehal hona hai
Tumhain khaber hi nahin tum to laut jao gay
Tumharay hijr main lamha bhi saal hona hai
Hamari rooh pay jab bhi azaab utrain gay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai
Kabhi to rooáy ga wo bhi kisi ki banhoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawaal hona hai
Milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyaan
Bas intezar hai kab yay kamal hona hai
Her aik shakhs chalay ga hamari rahoon per
Muhabaton main humain woh misaal hona hai
Zamana jis kay gham-o-paich main ulajh jaye
Hamari zaat ko aisa sawaal hona hai
“Wasi” yaqeen hai mujh ko wo laut aaye ga
Usay bhi apnay kiye ka malaal hona hai
(By Wasi Shah)
Mohsin Naqvi Romantic Love Mohabbat Poetry Ghazal:
Suraj ko dafnanay aye
Dhalti shaam ke lambay saye
Dukh ne sukh ka saans liya hai
Kaash koi phir yad na aye
Aik hi rasta ham donon ka
Dekhain kon kahan tak jaye
Aaj ghaat se khushbu barsi
Jaise koi zulfain lehraye
Kaash koi samjhaye us ko
Laikin kon usay samjhaye
Tujh se yun bichda ho jaise
Pathar se sheesha takraye
Banjar dharti pooch rahi hai
Chaand pe kis ne shahar basaye
Woh khushbu ki mauj hai “MOHSIN”
Kon us ki tasveer banaye
(By Mohsin Naqvi)
Beautiful Love poetry in Urdu by Abbas Dana:
Apne khawbon main tujhe jis ne bhi dekha hoga
Aankh khulte hi tujhe dhoondne nikla hoga
Zindagi sirf tere naam se mansoob rahe
Jane kitne hi damaghon ne ye socha hoga
Dost hum us ko hi paigum-e-karam samajhenge
Teri furqat ka jo jalta hua lamha hoga
Daman-e-zeest main ab kuch bhi nahin hai baaqi
Maut aaye to yaqeenan usay dhoka hoga
Roshani jis se utar aaye lahoo main mere
Ae masihaa woh mera zakhm-e-tamanna hoga
(By Abbas Dana)
Urdu Sad Ghazal by Haider Ali Aatish:
Yeh aarzoo thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
Hum aur bul-bul-e-betaab guftagu karte
Peyum-bar na muyasar hua to khoob hua
Zabaan-e-gair se kya sher ki aarzoo karte
Meri tarah se maah-o-mahar bhi hain aawara
Kisi habib ko ye bhi hain justaju karte
Jo dekhte teri zanjeer-e-zulf ka aalam
Aseer honay ke aazad aarzoo karte
Na pooch aalam-e-bargashta taali’-e-Aatish
Barasti aag main jo baraan ki aarzoo karte
(By Haider Ali Aatish)
Haider Ali Aatish New Mohabbat Ghazal Poetry Collection:
Yaar ko main ne mujhe yaar ne sonay na diya
Raat bhar taal’i-e be-daar ne sonay na diya
Ik shab bul-bul-e-betaab ke jaage na naseeb
Pehlu-e-gul main kabhi khaar ne sonay na diya
Raat bhar ki dil-e-betaab ne baaten mujh se
Mujh ko is ishq ke beemar ne sonay na diya
(By Haider Ali Aatish)
Wasi Shah Full Sad Romantic Love Pyar Mohabbat Poetry:
Samandar main utarta hun to aankhain bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hun to aankhain bheeg jaati hain
Tumhaara naam likhne ki ijaazat ch-iin gayi jab se
Koi bhi lafz likhta hun to aankhain bheeg jaati hain
Teri yaadon ki khushbu khirkiyoun main raqq-s karti hai
Tere gham main sulagta hun to aankhain bheeg jaati hain
Main hans ke jhail laita hun judaye ki sabhi rasmain
Galey jab us ke lagta hun to aankhain bheeg jaati hain
Na-jaane ho gaya hoon is-qadar hasaas main kab se?
Kisi say baat karta hun to aankhain bheeg jaati hain
Woh sub guzrey hue lamhaat mujh ko yaad aatey hain
Tumhare khat jo parhta hun to aankhain bheeg jaati hain
Main saara din bohat masroof rehta hun magar juunhi
Qadam chau-khat pe rakhta hun to aankhain bheeg jaati hain
Har ik muflis ke maathay par alam ki daastaanain hain
Koi chehra bhi parhta hun to aankhain bheeg jaati hain
Barey logon ke oonchay bad-numa or sard mehlon ko
Ghareeb aankhon se takta hun to aankhain bheeg jaati hain
Tere koochey se ab mera taal-luq waajibi sa hai
Magar jab bhi guzarta hun to aankhain bheeg jaati hain
Hazaron mosamon ki huk-marani hai mere dil par
“Wasi” main jab bhi hansta hun to aankhain bheeg jaati hain!!
(By Wasi Shah)