Poet Mohsin Naqvi is most popular Urdu language poet of Pakistan and most well known among young people as well as other poetess, his poetry cover all aspects of life. Mohsin poetry is fundamentally resolution of life, truth of life.
Mohsin Naqvi is Urdu poet of Pakistan has wrote many Urdu verses in various topics from love, sadness, Intizaar and many other life aspects. Here we are sharing some famous poetry and Ghazal collection of Mohsin Naqvi.
In this Poetry you will find poetry mohsin naqvi , mohsin naqvi , mohsin naqvi , mohsin naqvi sad poetry , mohsin naqvi urdu sms, mohsin naqvi best poetry, mohsin poetry , poetry of mohsin , mohsin naqvi sms , poetry in urdu , mohsin naqvi books , mohsin naqvi shayari , mohsin naqvi ghazals , mohsin naqvi facebook Poetry and much other.
Mohsin Naqvi Intizar Poetry:
Jo teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko..
Mohsin Naqvi Urdu Poetry:
Zindagi log jisey marham-e-gham jaantey hain,
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaantey hain..
Mohsin Naqvi Sad Poetry:
Aawargi mei “mohsin” is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana…
Mohsin Naqvi Latest Ghazal:
Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai
Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai
Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai
Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai
Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai
Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai
Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai
Mohsin Naqvi Urdu Love Sad Poetry:
Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi