Parveen Shakir is a famous female Urdu poet, teacher, and civil servant of the Government of Pakistan. She was born on 24 November 1952 in Karachi Sindh Pakistan. Shakir’s 1st book “Khushbu” was presented with the Adamjee Award. She was also awarded the Pride of Performance, one of Pakistan’s highest honors.
Parveen afterward brought out other Urdu volumes of poetry and received – Sad-barg [Marsh Marigold] in 1980, Khud Kalami [Soliloquy] and Inkar [Denial] in 1990, Kaf e Aina [The Mirror’s Edge] besides a collection of her newspaper columns, titled Gosha-e-Chashm [The Sight Corner]. the Pride of Performance for her outstanding contribution to Urdu literature. The poetry books are collected in the volume Mah e Tamam with the exception of Kaf e Aina.
You can send Parveen Shakir Romantic Poetry In Urdu Collection Free Download For Facebook. Here we are sharing Beautiful Parveen Shakir Poetry in Urdu SMS Ghazal to share with lovers on facebook and WhatsApp.
Parveen Shakir Best Urdu Poetry in SMS Ghazal Collection
Teri Khushbo Ka Pata Karti Hai
Mujh Pe Ehsan Ha’wa Karti Hai
Shab Ki Tanhai Mein Ab To Aksar
Guft,gu Tujh Se Raha Karti Hai
Dil Ko Us Rah Pe Chalna Hi Nahi
Jo Mujhe Tujh Se Juda Karti Hai
Zindagi Meri Thi Lekin Ab To
Terey Kahne Main Raha Karti Hai
Us Ne Dekha Hi Nahin Warna Ye Ankh
Dil Ka Ehwal Kaha Karti Hai
Beniyaz-e-KafeE-Dariya Angusht
Rait Par Num Likha Karti Hai
<<<<<<<<000>>>>>>>>>
Vo Ehad, Ehad Hi Kia Jise Nibhao Bhi
Hamare Vadaa-e-Ulfat Ko Bhool Jaao Bhi
Bhala Kaha Ke Ham Aisay Gumaan waley Hein
Hazar Baar Hum Aaye Humein Bulaao Bhi
Bigar Chala Hai Bohat Rasm-E-Khud_Kushi Ka Chalan
Darane walon Kisi Roz Kar Dikhao Bhi
Tumhari Neend Mein Doobi Huie Aankho Ki Qsam
Hamien Ye Zid Hai K Jago Bhi Aur Jagao Bhi
<<<<<<<<000>>>>>>>>>
Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
Na Yaqeen Aye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo
Hum Ne Apni Har Saan’s Par Naam Tera Likh Dia
Ek Tujhe Pane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Dia
Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadd Se Guzar Ke Dekh Lo
Tum Se Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
Jaane Kion Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar
Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar
Apni Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo
<<<<<<<<000>>>>>>>>>
Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yuon Bhi To Naseeb Ho
Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho
<<<<<<<<000>>>>>>>>>
Kuch Tu Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi Ke Saath Saath, Hota Raha Malal Bhi.
Baat Wo Adhi Raat Ki, Raat Wo Puray Chaand Ki,
Chaand Bhi Aain Cheet Ka Is Pay Tera Jamaal Bhi.
Sub Se Nazar Bacha K Wo Mojh Ko Kuch Aise Dekhta,
Ek Dafa To Ruk Gayi Gardish-E-Mah O Saal Bhi.
Dil Ko Chamak Sake Ga Kia, Phir Bhi Tarash K Dekh Lay,
Sisha Garane-Shahar K Haat Ka Ye Kamal Bhi,
Us Ko Na Paa Sakay Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha,
Ab Jo Palat Kay Dekhye, Baat Thi Kuch Mohaal Bhi,
Meri Talab Tha Aik Shaks Wo Jo Nahi Mila Tu Phir,
Haath Dua Se Yun Gira, Bhol Gaya Sawal Bhi,
Shaam Ki Na Samaj Hawa Poch Rahi Hai Ek Pata,
Mouj-E-Hawa-E-Ko-E-Yaar Kuch To Mera Khayal Bhi.
(Parveen Shakir)
<<<<<<<<000>>>>>>>>>
Mere Wajood Ki Jageer Usne Maangi Hai,
Ajab Khawab Ki Tabeer Usne Maangi Hai,
Uski Qaid Mein Rehti Hoon Main Pehly Bhi,
Na jany Phir Kiun Zanjeer Usne Maangi Hai,
Guman Hota Hai Wo Bhool Sakta Hai Mujhe,
Kio K Aaj Meri Tasveer Usne Maangi Hai,
Mere Khuda Mujhe Uske Naseeb Mein Likh De,
Ke Mujh se Meri Taqdeer Usne Mangi Hai.
(Parveen Shakir)
<<<<<<<<000>>>>>>>>>